Hamare Darmiyan pal Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan
Kuch Is Tarha Guftugu Karna Acha Lagta Hai
Tumhre Baghir Zindagi Ka Koi Tassavur Nahi Hai
Kuch Is Tarha Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai
ishq karnay kay bhi kuch aa dab hotay hain
khule aakhon main bhi kuch khwab hotay hain
har koi roo kay dekhai yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain
Poochtay ho ,kyun us say pyar karte jaate hoo
ye sawaal tum khud say baar baar karte jaate hoo
wo to na rakh saka kabhi bhi wafao ka bharam
phir kio us ki baato pay aietbaar karte jaate hoo
Poochtay ho ,kyun us say pyar karte jaate hoo
janty ho na pehna sakay na usko kabhi ridaye mohabbat
phir bhi chah mein us ki daman taar taar kiye jaaty hoo
jab chaap apnay dil kay younhi seeye jaana tha tujhe
kio uskay diye zakhmoo ko shumaar kiyee jaaty hoo
Poochtay ho ,kyun us say pyar karte jaate hoo
shayed kabhi na lout kai aasakay wo mery taraf
kio aise musafir ka intezaar kerty jaaty ho
janaay kiaa us sahir nay kerdiaa hai mujh per jaado shaam 0 sehar mai
khud ko beqaraaar kerty jaaty hooo
bina us kai lagta nahi hai kahin dil
log kehtay hai kyun khud ko bekaar karte jaate hoo
Poochtay ho ,kyun us say pyar karte jaate hoo
Thursday, January 24, 2008
Tuesday, January 22, 2008
kash aisa yun na hota..
Hansi dekh k meri sab mehfil mein muskura diye
Tumne pad liye shayad mere gham jo mere paas aa gaye
Baahon main bhar k poochha jab tumne
Kucch na bole hum bas muskura diye
Jaana tha aaj tumhe humse door hamesha k liye
Jaate jaate tere chehre se ashq chura liye
Saj k baithe the tum shayad kisi ke liye
Saare armaan apne ishq ke humne aag mein jala diye
Kucch na socha kabhi maine kucch na chaha tha
tere siwa Keh na paaya dil kii baat
shayad yahi thi meri khata
Kaash main iqraar kar deta apni mohabbat ka
Toh anjaam mein na milti ye saza
Jaana hai kal subah tumhe sab naato ko tod kar
Is baat ne mere ashq thay baha diye
Dekhi thi maine shikan tere chehre par bhi
Mere aasuon ne sitam tujhpe dha diye
Tune poochha jab hale dil de k apni kasam
Raaz sare is dil k jo thay wo tujhe bata diye
palkein bheeg gayi aur lab khamosh ho gaye
teri khamoshi ke lafz mujhe saare jawab de gaye
saj chuki thi par doli teri hum
dono ne apne gham chhupa liye
sab roye thay teri vidaayi main dekha
jab tune mujhe toh hum muskura diye
Ab to kabra ka karma bhi chota lagta hai
Tere bina jeena ab marna sa lgta hai
Kuch khata tumhari bhi rhi hogi
Jiski saza khuda ne is kadar tay ki hogi
Ab to kabra ka karma bhi chota lagta hai
Tere bina jeena ab marna sa lgta hai
Kuch khata tumhari bhi rhi hogi
Jiski saza khuda ne is kadar tay ki hogi
Tuesday, January 15, 2008
ajeeb ishq hai ye
wo Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangte Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Naseeb Mangte Hai
Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dher Kar Diya
Pagal hai kyun jo Un Cheezon Ka ahsan Mante Hai
Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
par jane kyun fir bhi Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangte Hai
Har Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay BhiA
pnay Har Sawal Ka Jawab Mangte Hai
Ajeeb Shaks Hay wo jo Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangte Hai
Hum Mout Ki Dehleez Per Hain ,Jante Hai Jana Hai Hamein
Pagal Hay jo Hamaray Ruknay Ki Dua Mangte Hai......

Subscribe to:
Posts (Atom)