Wednesday, February 20, 2008

uff ye yaadein

Tanhayion ke alam mein,

Aksar dil ko ye samjhata hoon main,

gam na kar ke koi sang nahi tere,

shukr kar ke kuchh yaadein to hain.


Mere aise samjhane par,

Dil bhi khud ko samjhata hai,

Saare vartmaan ko bhulkar phir,

Yaadon ke manzar main chala jaata hai.


Wo yaadein jinme mamta,

Umad kar bahar aati hai,“Mere bache”,

hum aaj bhi tere saath hain,

Ye pyar se mujhe btati hai.


Haan Kuchh wo mithi yaadein,

Jinme wo pyare se log rehte hain,

Wo log jo bhul chuke hain hamein,

Lekin hame aaj bhi yaad aate hain.
kuchh wo yadein jo batati hain,

ki hamne kitni thokre khayi hain,

un logon ki yaadein jinhone,

kitni baatein sunayi hain.


Haan wo yaadein jo hamari,

Kamyabiyon ko saamne le aati hain,

Un thokron ka natija kya nikla tha,

Aa kar mujhe samjhati hain


Wo yaadein jo kehti hain,

Ki tera bhagya tere hi haath hai,

Koi aur saath ho na ho ,

Hum hamesha tere saath hain.


Yaadon ko yaad karke lagta hai,

Main Zindagi ke kitne karib hoon,

Mere paas ye yaadein hain,

Main sach much khushnasib hoon.

ab samajh nahi ata ye kyun likha

Kisi Ki Ankh Se Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta
Mandiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho To Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sukoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ja Ker
Jinhein Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Usay Kehna Ke Palkon Pe Na Tanke Khawbon Ke Jhumar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootney Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke yaadon Mein Neendein Ganwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni,Yeh Ankhein Khoon ke ansu Royengi
Wasi Bhi-wafa Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta