Wednesday, February 20, 2008

uff ye yaadein

Tanhayion ke alam mein,

Aksar dil ko ye samjhata hoon main,

gam na kar ke koi sang nahi tere,

shukr kar ke kuchh yaadein to hain.


Mere aise samjhane par,

Dil bhi khud ko samjhata hai,

Saare vartmaan ko bhulkar phir,

Yaadon ke manzar main chala jaata hai.


Wo yaadein jinme mamta,

Umad kar bahar aati hai,“Mere bache”,

hum aaj bhi tere saath hain,

Ye pyar se mujhe btati hai.


Haan Kuchh wo mithi yaadein,

Jinme wo pyare se log rehte hain,

Wo log jo bhul chuke hain hamein,

Lekin hame aaj bhi yaad aate hain.
kuchh wo yadein jo batati hain,

ki hamne kitni thokre khayi hain,

un logon ki yaadein jinhone,

kitni baatein sunayi hain.


Haan wo yaadein jo hamari,

Kamyabiyon ko saamne le aati hain,

Un thokron ka natija kya nikla tha,

Aa kar mujhe samjhati hain


Wo yaadein jo kehti hain,

Ki tera bhagya tere hi haath hai,

Koi aur saath ho na ho ,

Hum hamesha tere saath hain.


Yaadon ko yaad karke lagta hai,

Main Zindagi ke kitne karib hoon,

Mere paas ye yaadein hain,

Main sach much khushnasib hoon.

2 comments:

Sarmistha said...
This comment has been removed by the author.
Sarmistha said...

amazing lines..maintaining the equanimity..!!