Wednesday, September 12, 2007

hum likhe to aise kaise likhe

Tere diye huye aanso hai tere diye hoye gham hai
tera diya hua tuta hua dil hai jeene ke liye ye kya kam hai

jab pyaar hamne tujh se kiya to kya pyaar ese kam hai
teri yado ke diye huye mele hai kya hua agar akele ham hai

bhulke milne juda hone ke kayi sawaal hai
har jawab main bas ankhein hi to nam hai

teri berukhi tera u satana tere liye chup chup kar anso bahana
zindagi ke safar main kafi ye kam hai

ehmiyat ye sache pyaar ki har kisi ko nahi milti
sache pyaar ka ye tofa mila mujhe tujh se hi to sanam hai

koun kehta hai ke joda ho gae en faslo se ham
lamho ki es barish main her pal teri yado ka janm hai

teri batien tere wade teri woh muskorahthein
jilege ab enke sahare enmein bahut dam hai

Jab tujh se pyaar kiya tu tere ghamo se bhi ker lege
kaya howa ger bewafa hai, hai tu mera hi woh sanam hai

1 comment:

umangexuberance said...

just one word ankit..*wow*
there is so much pain..so much love in this..only someone who has been through the hellish side of love could have written that..
well just let the pain continue to flow..