Wednesday, September 12, 2007

zindagi ne zindagi bhar gam diye

thi mom si pighalti zindagi,
kshan kshan ristee,sulagti zindagi,
katara katara ghatati,katarti zindagi,
kataraati khud se,sakpakati zindagi,
jalti khud ,khud ko bhulaati zindagi,
andheron ko lubhaati,lau se lipti zindagi,

shayad kabhi......neenv mein hi simat jaati zindagi,
aur tabhi....badan pe fisalti humne paayi zindagi,
rishton mein lapetti nazar aayi zindagi,shikawon ko jalaati,shikan-si saham jaati,
boond-boond upalaati ,sard sajaayi zindagi,dhuein mein urati-firati,
koron se thodi darati,mere antar-man ke dhaagesang khilkhilaayi zindagi.

phir tumne aah bhar di,is mom ke shahar mein,
pattharon ke dil se bhi,nikal aayi zindagi.
thi mom si kabhi.... yeh pighalti zindagi,ab mom si hai yeh......sanwarti zindagi,
tha dar kabhi ise......mit jaane ka shaayad,ab aahon ki aabroo ko teri......darti hai zindagi.


meri zindagi ko teri hui aadat hai yakinan,
tabhi to tere dar se gujarti hai zindagi.
meri zindagi ki bas ek ilteja hai tumseis bejubaan zindagi ko maan le apni zindagi.

1 comment:

umangexuberance said...

well..this is life..so many forms..so many faces..it really gets you some way or the other

beautiful work ankit..keep it up :)