Wednesday, September 12, 2007

koi padhe to ro na dena

Gum iska nahi ki wo darte hai hame zamane k samne lane me,
gum to hai ki is zamane k chalte hum darte hai apne jazbaton ko unke samne lane me

WOH RUTHE HUMSE ,HUM MANANE CHALE GAYE,MANANA NAHI AATA YEH BHUL HI GAYE ,MANANA HUMNE KABHI SIKHA HI NAHI,KYA KARE HUMSE PEHLE KOI RUTHA HI NAHI!!!

Un andhero mein jab na koi kareeb tha mere,
Isi tanhaai ne toh nibhaya tha mere saath.
Par kya ek pal ko bhi toone socha E Khuda,
Tere usi tanhaai ki vajah se he nahi thama tha kisi ne mera haath.


Rone ko toh ro lunga mein jaar-jaar,
Tapkenge ye aansu ek nahi hazaron baar.
Par ush tanhai mein bhi nibhane wala koi saath toh ho,
Tanha he sahi, par dil ki koi baat toh ho.


Ab toh ghoot raha hai dum mera ish tanhai mein,
Aur dikh raha hai chehra uska apni he parchai mein.
Ab aur kitna andhere baki hai is tanhai mein,
Is seene mein jal raha hai ek dil yaadon ki gehraai mein.


Ek muddat se nahi dekha use, ab toh intehan ho gayi hai intzaar ki,
Aur sukh rahi hai ye ankhein ummid mein uske deedar ki.
Baat na sahi, par uska ek Akash toh dikha de,
Ek pal ko he sahi, par ush Sakhas se toh mila de..

1 comment:

Anonymous said...

YEH BHUL HI GAYE ,MANANA HUMNE KABHI SIKHA HI NAHI,KYA KARE HUMSE PEHLE KOI RUTHA HI NAHI!!!

hum mana karte nahi
tum manane toh aate
ek koshish jo ki hoti
yu bigad na jati yeh batein...

ok well not quite in ur league hehe...

ncie stuff..i like the above line a lot..